Home › Bachon Ko Quran Padhna Kaise Sikhaye?
Bachon Ko Quran Padhna Kaise Sikhaye?
Bachon ke liye Quran seekhna tab aasan hota hai jab sabaq chhota, roz ka aur pyar se ho.
Kab shuru karein?
Har bacha alag hai. Jab bacha thodi der baith kar dhyaan de sake aur huroof ki awaaz dohra sake, tab Qaida shuru kiya ja sakta hai. Yeh faisla parents bacche ko dekh kar karein.
Asaan tareeqe
- Chhoti classes: chhote bacchon ka dhyaan kam der tikta hai.
- Roz ek hi waqt.
- Tareef karein, daant se bachein.
- Ghar me Quran ki tilawat sunaayein.
Tarteeb
Bachon ke liye bhi wahi raasta: huroof → Noorani Qaida → basic tajweed → Quran.
Online class me bacche kaise padhte hain?
Teacher Qaida ya Quran ka page screen-share karte hain aur bacha screen par dekh kar padhta hai, dono ki video on hoti hai. Parents paas baith kar sun sakte hain. Din aur waqt aap apne bacche ke school ke hisaab se chunein, classes 24/7 available hain. Dekhein: online class kaise hoti hai.
Parents ka role
- Class se pehle device aur internet tayyar rakhein.
- Roz 5–10 minute pichla sabaq sunein.
- Teacher se progress poochte rahein.
3 din ki free trial class lijiye. Classes 24/7 available hain, din aap khud chunein.
Book a 3-day free trial