Home › Mujhe Quran Sikhna Hai: Kahan Se Shuru Karein?
Mujhe Quran Sikhna Hai: Kahan Se Shuru Karein?
Bahut se log bachpan me Quran nahi padh paaye aur ab seekhna chahte hain. Yeh bilkul aam baat hai, aur sharm ki koi baat nahi.
Jhijhak kaise door karein
Akele, ek teacher ke saath class me koi aur nahi sunta. Teacher ka kaam hi galtiyan theek karna hai, isliye galti karne se na darein.
Kya chahiye?
- Phone, tablet ya laptop aur internet (online class ke liye)
- Roz 15–30 minute
- Ek shaant jagah
Pehla hafta kaisa ho
- Pehle din: teacher se milna, aapka level dekhna
- Huroof ki pehchaan aur awaaz
- Roz pichla sabaq dohrana
- Hafte ke aakhir me apne seekhe huroof bina dekhe pehchaanne ki koshish
Kaam aur ghar ke saath waqt kaise nikaalein
Online classes 24/7 available hain aur hafte ke din aap khud chunte hain, isliye shift ya ghar ki zimmedariyon ke hisaab se waqt rakh sakte hain. Tafseel: online class kaise hoti hai.
Aage ka raasta
Noorani Qaida → basic tajweed → tilawat. Poori guide yahan.
3 din ki free trial class lijiye. Classes 24/7 available hain, din aap khud chunein.
Book a 3-day free trial